Kaise Kahen Ki Chaar Taraf Daera Na Tha
kaise kahen ki chaar taraf daera na tha
jate kahan ki KHud se pare rasta na tha
jab sans le rahi thi daraKHton ke aas-pas
aawaz de rahi thi koi bolta na tha
KHud se chale to rah-guzar aaina ho gai
apne siwae aur koi sujhta na tha
ab ke basant aai to aankhen ujaD gain
sarson ke khet mein koi patta hara na tha
parda hila ke baad-e-sahar dur tak gai
KHushbu kidhar se aai kisi ko pata na tha
guzri tamam umr usi shahr mein jahan
waqif sabhi the go koi pahchanta na tha
ai 'ashk' ek kitab paDhi thi waraq waraq
wo tirgi thi lafz koi sujhta na tha
(1171) Peoples Rate This