Jism Mein KHwahish Na Thi Ehsas Mein KanTa Na Tha
jism mein KHwahish na thi ehsas mein kanTa na tha
is tarah jaga ki jaise raat-bhar soya na tha
ab yahi dukh hai hamin mein thi kami us mein na thi
us ko chaha tha magar apni tarah chaha na tha
jaane wale waqt ne dekha tha muD kar ek bar
go hamein pahchanta kam tha magar bhula na tha
hum bahut kafi the apne waste jaise bhi the
koi hum sa dost koi hum sa begana na tha
ajnabi rahen na jaane kis tarah aawaz den
jab safar par chal paDe the kis liye socha na tha
panw ka chakkar liye phirta rahega dosto
aur phir sochoge apne shahr mein kya kya na tha
hum bhi un raaton mein thaali par diya rakh kar chale
jab shiwale ki imarat ka koi dar wa na tha
farz ki manzil ne meri gumrahi bhi chhin li
warna 'ashk' is rasti-basti rah mein kya kya na tha
(1032) Peoples Rate This