Pabandiyon Se Apni Nikalte Wo Pa Na The
pabandiyon se apni nikalte wo pa na the
sab raste khule the magar hum pe wa na the
ye aur baat shauq se hum ko suna gaya
phir bhi wahi sunaya suna ek fasana the
ek aag-saeban tha sar par tana hua
pal pal zamin sarakti thi aur hum rawana the
dariya mein rah ke koi na bhige to kis tarah
hum be-niyaz teri tarah ai KHuda na the
hargiz gila nahin hai ki tu mehrban na tha
kab hum bhi apne aap se behad KHafa na the
kyun sabr-ashna na hua na-murad dil
tere karam ke hath to yun be-ata na the
wo aur hum se puchhe ki 'bilqis' kuchh to kah
kam-baKHt hum ki hosh hi apne baja na the
(1046) Peoples Rate This