Kis Ne Kaha Kisi Ka Kaha Tum Kiya Karo
kis ne kaha kisi ka kaha tum kiya karo
lekin kahe koi to kabhi sun liya karo
har aarzu fareb hai har justuju sarab
machle jo dil bahut use samjha diya karo
yun chup raha kare se to ho jae hai junun
zaKHm-e-nihan kured ke kuchh ro liya karo
han shahr-e-arzu tha kabhi ye ujaD ghar
ab khanDaron se is ki kahani suna karo
is na-shunidani se to behtar hai chup raho
hai kya zarur sikhwa-e-be-faeda karo
uTh kar chale gae to kabhi phir na aaenge
phir lakh tum bulao sadaen diya karo
nale ubal rahe hon to rasta bhi chahiye
'bilqis' gahe gahe ghazal kah liya karo
(1016) Peoples Rate This