Kab Ek Maqam Pe Rukti Hai Sar-phiri Hai Hawa
kab ek maqam pe rukti hai sar-phiri hai hawa
tamam shahr o bayaban ko chhanti hai hawa
nasib-e-pa-e-junun hai sada ki dar-badri
hawa-e-jada-o-manzil mein kab chali hai hawa
ye pech-o-tab hai kaisa sabab nahin khulta
bana bana ke bagule bigaDti hai hawa
siwae KHak na kuchh hath aaj tak aaya
sarab ret se sahra mein chhanti hai hawa
ghazab ka ghaiz o ghazab tha jo hum na bikhre the
bikhar gae hain to kaisi Dari khaDi hai hawa
ukhaD toD ke basti ke sab makanon ko
chhipi khanDar mein pashiman ro rahi hai hawa
wo ek baat jo KHud se bhi hum na kahte the
zaban zaban pe wahi baat dhar gai hai hawa
tamam lala o gul ke charagh raushan hain
shajar shajar pe shagufon mein jal rahi hai hawa
kab apna hath pahunchta gulab tak 'bilqis'
mere nasib se shaKHon mein ja phansi hai hawa
(817) Peoples Rate This