Ek Aalam Hai Ye Hairani Ka Jina Kaisa
ek aalam hai ye hairani ka jina kaisa
kuchh nahin hone ko hai apna ye hona kaisa
KHun jamta sa rag-o-pai mein hue shal ehsas
dekhe jati hai nazar haul tamasha kaisa
regzaron mein sarabon ke siwa kya milta
ye to malum tha hai ab ye achambha kaisa
aable panw ke sab phuT bahe be-nishtar
ras aaya hamein in KHaron pe chalna kaisa
phir kabhi sochenge sach kya hai abhi to sun len
log kis kis ke liye kahte hain kaisa kaisa
sui aankhon ki bhi main ne hi nikali thi magar
dekh ke bhi mujhe us ne nahin dekha kaisa
kitni sada thi hatheli meri rangin hui
meri ungli mein utar aaya hai kanTa kaisa
aaina dekhiye 'bilqis' yahi hain kya aap
aap ne apna bana rakkha hai huliya kaisa
(716) Peoples Rate This