Deta Tha Jo Saya Wo Shajar KaT Raha Hai
deta tha jo saya wo shajar kaT raha hai
KHud apne tahaffuz ki wo jaD kaT raha hai
be-samt uDanon se pashiman parinda
ab apni hi minqar se par kaT raha hai
mahbus hun ghaaron mein magar aazar-e-taKHil
chaTTanon mein ashkal-e-hunar kaT raha hai
ek zarb-e-musalsal hai ki rukti hi nahin hai
har tar-e-nafas dard-e-jigar kaT raha hai
hai kaun kamin-gah mein ye kaise bataun
har tir magar mere hi par kaT raha hai
ummid ujale ka liye tesha har ek dil
har raat ba-andaz-e-sahar kaT raha hai
karta hai fuzun wahshat-e-dil dasht ka mausam
'bilqis' magar kya karun ghar kaT raha hai
(890) Peoples Rate This