Be-talluq Sare Rishte Kaun Kis Ka Aashna
be-talluq sare rishte kaun kis ka aashna
sath sae ki tarah sab aur sab na-ashna
karb jari hai bajae KHun ragon mein sahibo
kaun hai hum sa jahan mein gham se itna aashna
han hamari nibh to sakti thi magar kaise nibhe
apni KHuddari mein hum aur wo wafa na-ashna
ek ek ka munh taken beganagi ke shahr mein
ab kahen kya kis se hum ab kaun apna aashna
niw baiThi ja rahi hai sari diwaren gain
ghar ka basi ghar ki haalat se nahin kya aashna
jo na karna tha karaya aur nadim bhi nahin
ai dil-e-nadan kisi ka ho na tujh sa aashna
ajnabi ek dusre se baat kya karte nahin
ek zara se sath mein kya aashna na-ashna
KHum ba KHum chhalke teri sahba nasha qaim rahe
lazzat-e-zahrab gham se kab hua tha aashna
para-e-simab bhi 'bilqis' Thahra hai kahin
wo talawwun-kesh kis ka dost kis ka aashna
(849) Peoples Rate This