Ghar Mein Jab BeTiyan Nahin Hongi
ghar mein jab beTiyan nahin hongi
peD par Tahniyan nahin hongi
gham se samjhauta kar liya dil ne
ab yahan siskiyan nahin hun
main ki daur-e-jadid ki laDki
panw mein beDiyan nahin hongi
wapsi ka hai sochna be-sud
ab jali kashtiyan nahin hongi
ab diyon ko bachana wajib hai
aandhiyan mehrban nahin hongi
barishon ke safar pe nikle ho
sar pe ab chhatriyan nahin hongi
ye musalsal rahengi mere sath
hijr mein chhuTTiyan nahin hongi
dast-o-bazu bana hai bhai mera
koshishen raegan nahin hongi
ya qalam TuT jaega 'bilqis'
ya meri ungliyan nahin hongi
(834) Peoples Rate This