TaDKHan
koi shisha chaTaKHta hai
kisi billor ki taDKHan mere kanon tak aati hai
sutun-e-ustuKHwan jis par mera baam-e-shikasta hai yakayak Dol jata hai
meri gardan se kuchh niche jahan ye riDh ki chob-e-sitada kapkapi mein hai
wahin wiswas ke aur KHauf ke aur yas ke jinnat wahshat rag mein apna qadimi git gate hain
tanaw is tarah jaise tanab-e-jaan khinchti ho
dabao is tarah ka hai main jaise qulzum-e-tarik ki gahraiyon mein hun
ki sab par zau-fishan suraj jahan saya nahin karta
so rang o raushni ke aur hararat ke sandese bhi nahin aate
lahu jun bahr-e-ashufta sar-e-uftan ke sahil se damadam sar paTaKHta hai
koi shisha chaTaKHta hai
kisi billor ki taDKHan mere kanon tak aati hai
(841) Peoples Rate This