Sote Mein Muskuraate Bachche Ko Dekh Kar
teri maKHmur si muskan abhi dekhi to yaad aaya
meri muskan par ek din mujhe man ne bataya tha ki chhoTa tha to aksar nind mein main muskuraata tha
(uluhi ungliyon ki chheD ka miTha tarannum mere lab par raqs karta tha)
ki jaise gudgudi ke ek latif ehsas ki qulqul se meri nind hansti thi
ye guzre kal ka qissa hai, wo guzre kal ki basti thi
KHuda ka aur man ka aur bachpan ka zamana tha
wo jis mein ji raha tha main asatiri zamanon ka koi pahla fasana tha
ki ahd-e-be-KHuda mein be-aman be-saeban hun main
sau nind aati nahin mujh ko, aur aae bhi to Dar ki chap se har KHwab kanp uTThe
sau marg-e-KHwab ki rut mein
teri maKHmur si muskan abhi dekhi to viran-KHana-e-lab se dua nikli
KHuda ki aur teri chheD yunhi umar bhi Thahre
uluhi ungliyon ka lams daim mo'tabar Thahre
tere har KHwab ke us par ek KHwab-e-digar Thahre
(916) Peoples Rate This