Mushkil
KHuda ko yaad karta hun to man ki yaad aati hai
abhi azalon se gardan chaak ki miTTi ka nam aaankhon mein raushan tha ki main ne man ko dekha tha
mujhe muskan ka pahla sahifa yaad hai ab tak
ki dil jis ki tilawat se sakun ke ghunT bharta tha
ki jis ki lau, agarche wo na sharqi thi na gharbi thi
magar do nain ke billor mein kuchh yun bhaDakti thi
ki mere sharq o gharb ek nur ke haale mein aiman the
(KHuda gar nur hai to man ki aaankhon ke siwa kin taqchon ko zeb deta hai)
KHuda gar radd na kar deta to main aaankhon se zau karti isi lau ki qasam khata
mohabbat ke muqaddas roghan-e-zaitun se jo KHud mein bhaDakti thi
mujhe bhula nahin ab tak
wo pahla lams jis se meri qismat ki lakiron mein abhi tak tabnaki hai
mohabbat ka wo jibrail mujh se baat karta tha to main sarshaar hota tha
main Darta hun KHuda ke rizq ka kufran karne se
magar wo chashni jo rizq mein us lams ki shirkat se thi ab KHwab lagti hai
so man ke baad ek gambhir mushkil mein paDa hun main
kuchh aisa hai ki mujh ko rabt kuchh baqi nahin ab nuriyan-e-lams-o-KHanda ki hikayat se
so main ab lams o KHanda ke sahifon ke bina aajiz hun rab ko bhi samajhne se
kuchh aisa hai
ki jaise main kisi bhuli hui ummat ke ek matruk mabad mein abas fariyaad karta hun
KHuda ko yaad karta hun
(840) Peoples Rate This