Ek KHwab
purani qabren adhure chehre ugal rahi thin
adhure chehre purani qabron ki sard-za bhurbhuri udasi jo apne upar gira rahe the
to aariz o chashm o lab ki tashkil ho rahi thi
wo ek kun jo hazar sadiyon se multawi tha ab us ki tamil ho rahi thi
qubur-e-KHasta se gah KHezan o gah uftan, hujum-e-isyan
har ek rishte se, har talluq se mawara tha
gae dinon ki mohabbaton ko, raqabaton ko, saubaton ko bhula chuka tha
hujum apne azal ke maqsum ke mutabiq
KHud apne anjam ke junun mein kashan kashan rah kaTta tha
zamana apne jamal ko tark kar chuka tha
jalal us ke buzurg chehre ki har shikan mein dubak gaya tha
buzurg chehra, hameshgi ka qadim chehra
azal se is din ka muntazir tha
ki kab ye amboh-e-KHaksaran
KHud apne aamal ke khanakte hue salasil mein gharq aae
gunah barte sawab pae
(995) Peoples Rate This