Dhund
jab december mein dhund utarti hai
apne asrar mein lipaTti hui, tah-ba-tah hum pe fash hoti hui
ye kisi yaad ke december se dil ki saDkon pe aa nikalti hai
rah to rah dil nahin milta dhund jab hum mein aa Thaharti hai
kaif ki subh-e-KHush-muqaddar mein, ye dar-e-raaz hum pe khulta hai
jaise dil se kisi payambar ke, rab ki pahli wahi guzarti hai
rah chalte hue musafir par yun december mein dhund utarti hai
bagh bhi, rah bhi, musafir bhi raaz ke ek maqam mein chup hain
dhund in sab se baat karti hai aur ye ehtiram mein chup hain
dhund mein ek nami ka bosa hai
meri aasudgi ke hathon par ek bisri kami ka bosa hai
ek bhuli hui kami jaise, dhund mein yaad ki nami jaise
mere hathon mein hath Dale hue meri aaankhon se baat karti hai
apne asrar mein lipaTti hui jab december mein dhund utarti hai
(1213) Peoples Rate This