Ek Dikhawa Rah Gaya Bas Dil Se Wo Chahat Gai
ek dikhawa rah gaya bas dil se wo chahat gai
qais sahra mein gaya to ghairat-e-wahshat gai
ek haalat thi meri aur ek haalat dil ki thi
meri haalat to wahi hai dil ki wo haalat gai
chand ne dil ki KHalish ko chandni ki shakl di
hae meri be-dili se kaisi shai ghaarat gai
mahmil-e-laila ke pichhe gard thi aur qais tha
is sarab-e-arzu mein hijr ki izzat gai
ek kanTe ki khaTak se dil mera aabaad tha
wo gaya to dil se mere dard ki rahat gai
bas buri niyyat ke phal ka ek kasila zaiqa
ishq goya rizq tha niyyat gai barkat gai
(1184) Peoples Rate This