Ajal Ki Phunk Mere Kan Mein Sunai Di
ajal ki phunk mere kan mein sunai di
jab us ne shab ke thake dip ko rihai di
darun-e-KHak raha karwan-e-nikhat-o-rang
numu ne sabr kiya aaKHirash duhai di
ulajh raha tha abhi KHwab ki fasil se main
ki na-rasai ne ek shab mujhe rasai di
hawa ka safha-e-larzan banane wale ne
mizha ki nok pe ashkon ki raushnai di
phir ek shab ye hua KHwab ke shajar se pare
hazar rang ki aawaz ek dikhai di
ajib Dhang se taqsim-e-kar ki us ne
so jis ko dil na diya us ko dilrubai di
sana usi ki jo muhtaj-e-harf-o-saut nahin
ki jis ne ashk ke lahje mein nam-nawai di
(884) Peoples Rate This