Jam-e-gadai Hath Mein Le Nit Sanj-sawere Phirte Hain
jam-e-gadai hath mein le nit sanj-sawere phirte hain
shams-o-qamar ye donon bhikari husn ke tere phirte hain
muddat se hai aKHtar-e-talea mah-jabin bin gardish mein
khol tu bahman pothi apni kab din mere phirte hain
panDit puchho hath dikhao fal khulao koi par
din jo hon bargashta apne kis ke phere phirte hain
aql-o-farasat salb hue sab hae junun re wae junun
galiyon galiyon laDke hum ko ghere ghere phirte hain
yun kandhe par zulfen us ki bal khati hain waqt-e-KHiram
mar-e-siyah ko Dal gale mein jaise sapere phirte hain
jog liya 'ashufta' hum ne dekh laTak un zulfon ki
galiyon galiyon haal-e-pareshan baal bikhere phirte hain
(727) Peoples Rate This