Na Qarib Aa Na To Dur Ja Ye Jo Fasla Hai Ye Thik Hai

na qarib aa na to dur ja ye jo fasla hai ye Thik hai

na guzar hadon se na had bata yahi daera hai ye Thik hai

na to aashna na hi ajnabi na koi badan hai na ruh hi

yahi zindagi ka hai falsafa ye jo falsafa hai ye Thik hai

ye zaruraton ka hi rishta hai ye zaruri rishta to hai nahin

ye zaruraten hi zaruri hain ye jo wasta hai ye Thik hai

meri mushkilon se tujhe hai kya teri uljhanon se mujhe hai kya

ye takallufat se milne ka jo bhi silsila hai ye Thik hai

hum alag alag hue hain magar abhi kanpkanpati hai ye nazar

abhi apne bich hai kafi kuchh jo bhi rah gaya hai ye Thik hai

meri fitraton mein hi kufr hai meri aadaton mein hi uzr hai

bina soche main kahun kis tarah jo likha hua hai ye Thik hai

(1381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Qarib Aa Na To Dur Ja Ye Jo Fasla Hai Ye Thik Hai In English By Famous Poet Bhavesh Dilshad. Na Qarib Aa Na To Dur Ja Ye Jo Fasla Hai Ye Thik Hai is written by Bhavesh Dilshad. Read famous Poem Na Qarib Aa Na To Dur Ja Ye Jo Fasla Hai Ye Thik Hai for youth and Student by Bhavesh Dilshad. Free Download Na Qarib Aa Na To Dur Ja Ye Jo Fasla Hai Ye Thik Hai in PDF.