Kabhi To Samne Aa Be-libas Ho Kar Bhi
kabhi to samne aa be-libas ho kar bhi
abhi to dur bahut hai tu pas ho kar bhi
tere gale lagun kab tak yun ehtiyatan main
lipaT ja mujh se kabhi bad-hawas ho kar bhi
tu ek pyas hai dariya ke bhes mein jaana
magar main ek samundar hun pyas ho kar bhi
tamam ahl-e-nazar sirf DhunDhte hi rahe
mujhe dikhai diya surdas ho kar bhi
mujhe hi chhu ke uThai thi aag ne ye qasam
ki na-umid na hogi udas ho kar bhi
(1281) Peoples Rate This