Nind Aati Hi Nahin DhaDke Ki Bas Aawaz Se
nind aati hi nahin dhaDke ki bas aawaz se
tang aaya hun main is pur-soz dil ke saz se
dil pisa jata hai un ki chaal ke andaz se
hath mein daman liye aate hain wo kis naz se
saikaDon murde jalae ho masiha naz se
maut sharminda hui kya kya tere eajaz se
baghban kunj-e-qafas mein muddaton se hun asir
ab khule par bhi to main waqif nahin parwaz se
qabr mein rahat se soe the na tha mahshar ka KHauf
baz aae ai masiha hum tere eajaz se
wae ghaflat bhi nahin hoti ki dam bhar chain ho
chaunk paDta hun shikast-e-hosh ki aawaz se
naz mashuqana se KHali nahin hai koi baat
mere lashe ko uThae hain wo kis andaz se
qabr mein soe hain mahshar ka nahin khaTka 'rasa'
chaunkne wale hain kab hum sur ki aawaz se
(882) Peoples Rate This