Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e9bc077b781e4c8bdc20394ce6f177aa, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHayal-e-nawak-e-mizhgan Mein Bas Hum Sar PaTakte Hain - Bhartendu Harishchandra Poetry In English - Darsaal

KHayal-e-nawak-e-mizhgan Mein Bas Hum Sar PaTakte Hain

KHayal-e-nawak-e-mizhgan mein bas hum sar paTakte hain

hamare dil mein muddat se ye KHar-e-gham khaTakte hain

ruKH-e-raushan pe us ki gesu-e-shab-gun laTakte hain

qayamat hai musafir rasta din ko bhaTakte hain

fughan karti hai bulbul yaad mein gar gul ke ai gulchin

sada ek aah ki aati hai jab ghunche chaTakte hain

riha karta nahin sayyaad hum ko mausam-e-gul mein

qafas mein dam jo ghabraata hai sar de de paTakte hain

uDa dunga 'rasa' main dhajjiyan daman-e-sahra ki

abas KHar-e-bayaban mere daman se aTakte hain

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHayal-e-nawak-e-mizhgan Mein Bas Hum Sar PaTakte Hain In English By Famous Poet Bhartendu Harishchandra. KHayal-e-nawak-e-mizhgan Mein Bas Hum Sar PaTakte Hain is written by Bhartendu Harishchandra. Read famous Poem KHayal-e-nawak-e-mizhgan Mein Bas Hum Sar PaTakte Hain for youth and Student by Bhartendu Harishchandra. Free Download KHayal-e-nawak-e-mizhgan Mein Bas Hum Sar PaTakte Hain in PDF.