Jahan Dekho Wahan Maujud Mera Kirshn Pyara Hai
jahan dekho wahan maujud mera kirshn pyara hai
usi ka sab hai jalwa jo jahan mein aashkara hai
bhala maKHluq KHaliq ki sifat samjhe kahan qudrat
usi se neti neti ai yar didon ne pukara hai
na kuchh chaara chala lachaar chaaron haar kar baiThe
bichaare bed ne pyare bahut tum ko bechaara hai
jo kuchh kahte hain hum yahi bhi tera jalwa hai ek warna
kise taqat jo munh khole yahan har shaKHs haara hai
tera dam bharte hain hindu agar naqus bajta hai
tujhe bhi shaiKH ne pyare azan de kar pukara hai
jo but patthar hain to kabe mein kya juz-KHak-o-patthar hain
bahut bhula hai wo is farq mein sar jis ne mara hai
na hote jalwa-gar tum to ye girja kab ka gir jata
nasara ko bhi to aaKHir tumhaara hi sahaara hai
tumhaara nur hai har shai mein kah so koi tak pyare
usi se kah ke har har tum ko hindu ne pukara hai
gunah baKHsho rasai do 'rasa' ko apne qadmon tak
bura hai ya bhala hai jaisa hai pyare tumhaara hai
(1346) Peoples Rate This