Fasad-e-duniya MiTa Chuke Hain Husul-e-hasti MiTa Chuke Hain
fasad-e-duniya miTa chuke hain husul-e-hasti miTa chuke hain
KHudai apne mein pa chuke hain mujhe gale ye laga chuke hain
nahin nazakat se hum mein taqat uThaen jo naz-e-hur-e-jannat
ki naz-e-shamshir-e-pur-nazakat hum apne sar par uTha chuke hain
najat ho ya saza ho meri mile jahannam ki paun jannat
hum ab to un ke qadam pe apna gunah-bhara sar jhuka chuke hain
nahin zaban mein hai itni taqat jo shukr laen baja hum un ka
ki dam-e-hasti se mujh ko apne ek hath mein wo chhuDa chuke hain
wajud se hum adam mein aa kar makin hue la-makan ke ja kar
hum apne ko un ki tegh kha kar miTa miTa kar bana chuke hain
yahi hain adna si ek ada se jinhon ne barham hai ki KHudai
yahi hain akasr qaza ke jin se farishte bhi zak uTha chuke hain
ye kah do bas maut se ho ruKHsat kyun nahaq aai hai us ki shamat
ki dar talak wo masih-KHaslat meri ayaadat ko aa chuke hain
jo baat mane to ain shafqat na mane to ain husn-e-KHubi
'rasa' bhala hum ko daKHl kya ab hum apni haalat suna chuke hain
(835) Peoples Rate This