Dil Mera Tir-e-sitam-gar Ka Nishana Ho Gaya
dil mera tir-e-sitamgar ka nishana ho gaya
aafat-e-jaan mere haq mein dil lagana ho gaya
ho gaya laghar jo us laila-ada ke ishq mein
misl-e-majnun haal mera bhi fasana ho gaya
KHaksari ne dikhaya baad murdan bhi uruj
aasman turbat par mere shamiyana ho gaya
KHwab-e-ghaflat se zara dekho to kab chaunke hain hum
qafila mulk-e-adam ko jab rawana ho gaya
fasl-e-gul mein bhi rihai ki na kuchh surat hui
qaid mein sayyaad mujh ko ek zamana ho gaya
dil jalaya surat-e-parwana jab se ishq mein
farz tab se shama par aansu bahana ho gaya
aaj tak ai dil jawab-e-KHat na bheja yar ne
nama-bar ko bhi gae kitna zamana ho gaya
pas-e-ruswai se dekho pas aa sakte nahin
raat aai nind ka tum ko bahana ho gaya
ho pareshani sar-e-mu bhi na zulf-e-yar ko
is liye mera dil-e-sad-chaak shana ho gaya
baad murdan kaun aata hai KHabar ko ai 'rasa'
KHatm bas kunj-e-lahad tak dostana ho gaya
(1281) Peoples Rate This