Dil Aatish-e-hijran Se Jalana Nahin Achchha
dil aatish-e-hijran se jalana nahin achchha
ai shoala-ruKHo aag lagana nahin achchha
kis gul ke tasawwur mein hai ai lala jigar-KHun
ye dagh kaleje pe uThana nahin achchha
aaya hai ayaadat ko masiha sar-e-baalin
ai marg Thahar ja abhi aana nahin achchha
sone de shab-e-wasl-e-ghariban hai abhi se
ai murgh-e-sahar shor machana nahin achchha
tum jate ho kya jaan meri jati hai sahib
ai jaan-e-jahan aap ka jaana nahin achchha
aa ja shab-e-furqat mein qasam tum ko KHuda ki
ai maut bas ab der lagana nahin achchha
pahuncha de saba kucha-e-jaanan mein pas-e-marg
jangal mein meri KHak uDana nahin achchha
aa jae na dil aap ka bhi aur kisi par
dekho meri jaan aankh laDana nahin achchha
kar dunga abhi hashr bapa dekhiyo jallad
dhabba ye mere KHun ka chhuDana nahin achchha
ai faKHta us sarw-e-sahi qad ka hun shaida
ku-ku ki sada mujh ko sunana nahin achchha
(935) Peoples Rate This