Baal Bikhere Aaj Pari Turbat Par Mere Aaegi
baal bikhere aaj pari turbat par mere aaegi
maut bhi meri ek tamasha aalam ko dikhlaegi
mahw-e-ada ho jaunga gar wasl mein wo sharmaegi
bar-e-KHudaya dil ki hasrat kaise phir bar aaegi
kahida aisa hun main bhi DhunDa kare na paegi
meri KHatir maut bhi meri barson sar Takraegi
ishq-e-butan mein jab dil uljha din kahan islam kahan
waiz kali zulf ki ulfat sab ko ram banaegi
changa hoga jab na mariz-e-kakul-e-shab-gun hazrat se
aap ki ulfat isa ki ab azmat aaj miTaegi
bahr-ayaadat bhi jo na aaenge na hamare baalin par
barson mere dil ki hasrat sar par KHak uDaegi
dekhunga mehrab-e-haram yaad aaegi abru-e-sanam
mere jaane se masjid bhi but-KHana ban jaegi
ghafil itna husn pe ghurra dhyan kidhar hai tauba kar
aaKHir ek din surat ye sab miTTi mein mil jaegi
aarif jo hain un ke hain bas ranj o rahat ek 'rasa'
jaise wo guzri hai ye bhi kisi tarah nibh jaegi
(920) Peoples Rate This