Sawab Hai Ya Kisi Janam Ka Hisab Koi Chuka Raha Hun
sawab hai ya kisi janam ka hisab koi chuka raha hun
jo ghar ke aangan mein chinTiyon ko main roz aaTa khila raha hun
main raqs karta hua bagula jo dasht-e-jaan mein bhaTka chuka hai
ab apni sanson ki aandhiyon se bas apni miTTi uDa raha hun
wo manzilen kya ye raste bhi mujhi ko le kar bhaTak gae hain
na chal raha hun na ruk raha hun na ja raha hun na aa raha hun
qarib aati har ek shai ne mera nazriya badal diya hai
main jis ke pichhe paDa hua tha usi se pichha chhuDa raha hun
wo rabt-e-baham nahin hai lekin abhi bhi rishta bana hua hai
wo mujh se duri baDha raha hai main us se qurbat ghaTa raha hun
mere hi apne muhib sae mujhi ko ghere khaDe hue hain
kisi ko aankhen dikha raha hun kisi se aankhen chura raha hun
main aaina hun to kaun hai ye aaina hai to kaun hun main
inhin sawalon se tang aa kar main sab shabihen haTa raha hun
mujhe yaqin hai ise jala kar main apne sab Dar miTa sakunga
so ek kapDe mein rui bhar kar main apna putla bana raha hun
(907) Peoples Rate This