Sachchaiyon Ko Bar-sar-e-paikar ChhoD Kar

sachchaiyon ko bar-sar-e-paikar chhoD kar

hum aa gae hain dasht mein ghar-bar chhoD kar

aankhon mein jagte hue KHwabon ka kya karen

ninden chali gain hamein bedar chhoD kar

hum be-KHudi mein kaun si manzil pe aa gae

Thahra hua hai waqt bhi raftar chhoD kar

sahil kise batae yahan apne dil ka dard

maujen chali gain use har bar chhoD kar

lazim nahin ki aql ki har baat Thik ho

ab man lo jo dil kahe takrar chhoD kar

is ke siwa ab aur to pahchan kuchh nahin

jaun kahan main apna ye kirdar chhoD kar

shayad isi malal mein wo dhup Dhal gai

saya chala gaya kahin diwar chhoD kar

ab wadi-e-KHayal mein tanha khaDa hun main

jaane kahan gae mujhe ashaar chhoD kar

(956) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sachchaiyon Ko Bar-sar-e-paikar ChhoD Kar In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Sachchaiyon Ko Bar-sar-e-paikar ChhoD Kar is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Sachchaiyon Ko Bar-sar-e-paikar ChhoD Kar for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Sachchaiyon Ko Bar-sar-e-paikar ChhoD Kar in PDF.