Rishton Ke Jab Tar Ulajhne Lagte Hain
rishton ke jab tar ulajhne lagte hain
aapas mein ghar-bar ulajhne lagte hain
mazi ki aankhon mein jhank ke dekhun to
kuchh chehre har bar ulajhne lagte hain
sal mein ek aisa mausam bhi aata hai
phulon se hi KHar ulajhne lagte hain
ghar ki tanhai mein apne-ap se hum
ban kar ek diwar ulajhne lagte hain
ye sab to duniya mein hota rahta hai
hum KHud se be-kar ulajhne lagte hain
kab tak apna haal bataen logon ko
tang aa kar bimar ulajhne lagte hain
jab dariya ka koi chhor nahin milta
kashti se patwar ulajhne lagte hain
kuchh KHabron se itni wahshat hoti hai
hathon se aKHbar ulajhne lagte hain
koi kahani jab bojhal ho jati hai
naTak ke kirdar ulajhne lagte hain
(905) Peoples Rate This