Qurbaten Nahin Rakkhin Fasla Nahin Rakkha
qurbaten nahin rakkhin fasla nahin rakkha
ek bar bichhDe to rabta nahin rakkha
itna to samajhte the hum bhi us ki majburi
intizar tha lekin dar khula nahin rakkha
hum ko apne bare mein KHush-gumaniyan kyun hon
hum ne ru-ba-ru apne aaina nahin rakkha
jab pata chala is mein sirf KHun jalta hai
us ke baad sochon ka silsila nahin rakkha
har dafa wahi chehre barha wahi baaten
in purani yaadon mein kuchh naya nahin rakha
apne apne raste par sab nikal gae ek din
sath chalne walon ne hausla nahin rakkha
jab hawa ke ruKH par hi kashtiyon ko bahna tha
tum ne baadbanon ko kyun khula nahin rakkha
hum ko apne bare mein harf harf likhna tha
dastan lambi thi hashiya nahin rakkha
(961) Peoples Rate This