Phir Wo Be-samt UDanon Ki Kahani Sun Kar
phir wo be-samt uDanon ki kahani sun kar
so gaya peD parindon ki kahani sun kar
kya yahi KHwab ki tabir hua karti hai
uD gai nind bhi aankhon ki kahani sun kar
aable aise kabhi phuT kar na roe the
jis tarah roe hain kanTon ki kahani sun kar
hum wo sahra ke musafir hain abhi tak jin ki
pyas bujhti hai sarabon ki kahani sun kar
dard ki had se guzar kar to yahi hona tha
aankh pathra gai ashkon ki kahani sun kar
kashtiyan lauT to aai hain magar ek sahil
soch mein Duba hai maujon ki kahani sun kar
tum ne to sirf bahaaron mein unhen dekha hai
tum bikhar jaoge phulon ki kahani sun kar
sare kirdar siyane the magar jhuTe the
log hairan the bachchon ki kahani sun kar
kitna aasan tha bachpan mein sulana hum ko
nind aa jati thi pariyon ki kahani sun kar
un ko malum tha chehron ki haqiqat kya hai
chup rahe aaine chehron ki kahani sun kar
(754) Peoples Rate This