Paraya Lag Raha Tha Jo Wahi Apna Nikal Aaya
paraya lag raha tha jo wahi apna nikal aaya
mera ek ajnabi se dur ka rishta nikal aaya
abhi tak to teri yaaden meri miras thin lekin
tasawwur mein kahan se ek naya chehra nikal aaya
wo dariya hai ye kahne mein mujhe ab sharm aati hai
mujhe sairab kya karta wo KHud pyasa nikal aaya
isi ummid par sab ashk mein ne sarf kar Dale
agar in motiyon mein ek bhi sachcha nikal aaya
wo meri zindagi bhar ki kamai hi sahi lekin
main kya karta wahi sikka agar khoTa nikal aaya
mujhe us bazm mein yaad aa gain tanhaiyan apni
main sab ko chhoD ke us bazm se tanha nikal aaya
mujhe chaaron taraf se manzilon ne gher rakkha tha
yahan se bhi nikalne ka magar rasta nikal aaya
andhera tha to ye sare shajar kitne akele the
khuli jo dhup to har peD se saya nikal aaya
(824) Peoples Rate This