Mustaqil Rone Se Dil Ki Be-kali BaDh Jaegi
mustaqil rone se dil ki be-kali baDh jaegi
barishen hoti rahin to ye nadi baDh jaegi
ishq ki rahon mein hael ho rahi hai aagahi
ab junun baDh jaega diwangi baDh jaegi
har ghaDi tera tasawwur har nafas tera KHayal
is tarah to aur bhi teri kami baDh jaegi
ho sake to is hisar-e-zat se bahar nikal
habs mein rahne se wahshat aur bhi baDh jaegi
us ne suraj ke muqabil rakh diye apne charagh
wo ye samjha is tarah kuchh raushni baDh jaegi
ishq ke tanha safar mein koi saya DhunD le
dhup mein chalta raha to tishnagi baDh jaegi
tu hamesha mangta rahta hai kyun gham se najat
gham nahin honge to kya teri KHushi baDh jaegi
ho sake to hum pe zahir kar de apne dil ka haal
sochte rahne se to sanjidgi baDh jaegi
apni tanhai mein kis se guftugu karta hai tu
in sadaon se to shab ki KHamushi baDh jaegi
kya pata tha raat bhar yun jagna paD jaega
ek diya bujhte hi itni tirgi baDh jaegi
(875) Peoples Rate This