Meri Hi Baat Sunti Hai Mujhi Se Baat Karti Hai
meri hi baat sunti hai mujhi se baat karti hai
kahan tanhai ghar ki ab kisi se baat karti hai
hamesha us ki baaton mein andheron ka wahi rona
ye shab jab bhi diye ki raushni se baat karti hai
main jab mayus ho kar raste mein baiTh jata hun
to har manzil meri aawargi se baat karti hai
sukut-e-shab mein jab sare musafir soe hote hain
unhin lamhat mein kashti nadi se baat karti hai
kabhi chup chap tariki ki chadar oDh leti hai
kabhi wo jhil shab bhar chandni se baat karti hai
dayar-e-zat mein us waqt jab main bhi nahin hota
koi aawaz meri KHamushi se baat karti hai
hamesha us ke chehre par ajab sa KHauf rahta hai
kabhi jab maut meri zindagi se baat karti hai
(963) Peoples Rate This