Maine Socha Tha Mujhe Mismar Kar Sakta Nahin
main ne socha tha mujhe mismar kar sakta nahin
aks to mujh par palaT kar war kar sakta nahin
aaina zahir to kar sakta hai KHadd-o-KHal ko
aaina ehsas ka izhaar kar sakta nahin
meri chahat aur hai mere masail aur hain
KHud ko main har baat par tayar kar sakta nahin
KHud se samjhauta kiya hai zindagi ke nam par
is se baDh kar zindagi ko pyar kar sakta nahin
ya to apne jism ki had se nikalna chhoD de
saya hai to dhup se inkar kar sakta nahin
kashtiyan bhi chahiye aur naKHuda bhi chahiye
tu samundar tair kar to par kar sakta nahin
is se behtar hai ki ye azm-e-safar hi chhoD de
raste ko tu agar hamwar kar sakta nahin
(817) Peoples Rate This