Main Kya Bataun Kaisi Pareshaniyon Mein Hun
main kya bataun kaisi pareshaniyon mein hun
kaghaz ki ek naw hun aur paniyon mein hun
chehre ke KHadd-o-KHal mein mahdud main nahin
ek aaina hun apni hi hairaniyon mein hun
dushwariyon ko Thik se samjha nahin abhi
mushkil meri yahi hai ki aasaniyon mein hun
maujon se dur rah ke bhi badla nahin nasib
sahil ke aas-pas bhi tughyaniyon mein hun
mujh tak hi lauT aati hai meri sada ki gunj
ek bazgasht sa kahin viraniyon mein hun
oDha hua hai main ne ye kaisa ajab libas
itna Dhaka hua hun ki uryaniyon mein hun
raKHt-e-safar mein kijiye mera shumar bhi
shamil main apni be-sar-o-samaniyon mein hun
(2377) Peoples Rate This