Lakh Takraate Phiren Hum Sar Dar-o-diwar Se
lakh Takraate phiren hum sar dar-o-diwar se
ji ki bharta hi nahin hai lazzat-e-azar se
kuchh to ghar walon ne hum ko kar diya mazur sa
aur kuchh hum fitratan ukta gae ghar-bar se
yak-ba-yak aisi bhi sab par kya qayamat aa gai
shahr ke sab log kyun lagne lage bimar se
tere sapnon ki wo duniya kya hui us ko bhi dekh
ho chuki hain nam bahut aankhen uTha aKHbar se
muntazir tha Dubne wale ka koi to zarur
ek sada aai thi us ke nam dariya par se
sab se achchha to yahi ghaalib tera jam-e-sifal
TuT bhi jae to phir le aaiye bazar se
(794) Peoples Rate This