Kuchh Na Kuchh Silsila Hi Ban Jata
kuchh na kuchh silsila hi ban jata
ret par naqsh-e-pa hi ban jata
kis ne kaghaz pe likh diya mujh ko
is se behtar sada hi ban jata
zindagi ki radif mushkil thi
main faqat qafiya hi ban jata
ashk kuchh der ko hi tham jate
kaam bigDa hua hi ban jata
kashtiyan to KHuda chalata hai
kash main naKHuda hi ban jata
kya mila mujh ko nekiyon ka sila
achchha hota bura hi ban jata
manzilon ki kise tamanna thi
bhiD mein rasta hi ban jata
ab to bas ye hawa ki koshish hai
ek baadal ghana hi ban jata
main bhi chehra agar haTa leta
aaina aaina hi ban jata
hum zara aur sabr kar lete
dard shayad dawa hi ban jata
hum se diwane gar nahin hote
shahr ye hadsa hi ban jata
(985) Peoples Rate This