Kisi Bhi Samt Niklun Mera Pichha Roz Hota Hai
kisi bhi samt niklun mera pichha roz hota hai
taaqub mein koi gumnam saya roz hota hai
kisi ek moD par har roz mujh ko mil hi jati hai
taaruf zindagi se ghaebana roz hota hai
main ek anjaan manzil ke safar par jab nikalta hun
tasawwur mein koi manus chehra roz hota hai
yahi tanhaiyan hain jo mujhe tujh se milati hain
inhin KHamoshiyon se tera charcha roz hota hai
ye ek ehsas hai aisa kisi se kah nahin sakta
teri maujudgi ka ghar mein dhoka roz hota hai
shajar bechaargi se dekhta hai is tamasha ko
juda shaKHon se us ki koi patta roz hota hai
main apne-ap par bhi KHud ko zahir kar nahin sakta
mere ehsas par ek saKHt pahra roz hota hai
ye manzar dekh kar hairan rah jati hain maujen bhi
yahan sahil pe ek TuTa gharaunda roz hota hai
bahut din se in aankhon ko yahi samjha raha hun main
ye duniya hai yahan to ek tamasha roz hota hai
main ek kirdar ki surat kai parton mein jita hun
meri be-chehragi ka ek chehra roz hota hai
(785) Peoples Rate This