KHwahish-e-parwaz Hai To Baal-o-par Bhi Chahiye
KHwahish-e-parwaz hai to baal-o-par bhi chahiye
main musafir hun mujhe raKHt-e-safar bhi chahiye
is qadar bhi ranj ka KHugar nahin hun main abhi
raste mein dhup ho to ek shajar bhi chahiye
yun mukammal ho nahin sakta koi bhi aks ho
aaina bhi chahiye zauq-e-nazar bhi chahiye
sirf sanson ka tasalsul hi nahin hai zindagi
apne hone ki hamein koi KHabar bhi chahiye
doston ki is ada par ho gaya qurban main
meri pagDi le chuke ab mera sar bhi chahiye
mutmain sahra mein aa ke bhi nahin tanhaiyan
sham hote hi inhen diwar-o-dar bhi chahiye
(927) Peoples Rate This