KHwab Jine Nahin Denge Tujhe KHwabon Se Nikal
KHwab jine nahin denge tujhe KHwabon se nikal
waqt barbaad na kar raegan sochon se nikal
dasht-e-imkan mein dariya bhi hai baadal bhi hain
shart bas itni hai tu apne sarabon se nikal
ek be-rang si taswir bana le KHud ko
rang yaksan nahin rahte kabhi rangon se nikal
warna tu apne hi andar kahin bujh jaega
khul ke ab samne aa apne andheron se nikal
shab ne suraj se kaha ye to nahin tera maqam
chal bulandi ki tarah lauT nashebon se nikal
tere hone ka tujhe bhi to ho ehsas koi
ek konpal ki tarah apni hi shaKHon se nikal
ab wo girdab ki kashti ki kahani na suna
tujh ko sahil pe pahunchna hai to maujon se nikal
ek na ek roz samundar ka safar karna hai
apne ehsas ke mahdud jaziron se nikal
(1010) Peoples Rate This