Kahin Jaise Main Koi Chiz Rakh Kar Bhul Jata Hun
kahin jaise main koi chiz rakh kar bhul jata hun
pahan leta hun jab dastar to sar bhul jata hun
wagarna to mujhe sab yaad rahta hai siwa is ke
kahan hun kaun hun kyun hun main akasr bhul jata hun
mere is haal se gumrah ho jate hain rahbar bhi
main akasr raste mein apna hi ghar bhul jata hun
dikhata phir raha hun sab ko apne zaKHm-e-sar lekin
mere hathon mein bhi hai ek patthar bhul jata hun
nikal jata hun KHud apne hisar-e-zat se bahar
main akasr panw phailane mein chadar bhul jata hun
kabhi jab sochne lagta hun pas-e-manzar ke bare mein
to mere samne ho koi manzar bhul jata hun
kabhi to itna baDh jati hai meri pyas ki shiddat
mere chaaron taraf hai ek samundar bhul jata hun
(784) Peoples Rate This