Kabhi Sukun Kabhi Sabr-o-qarar TuTega
kabhi sukun kabhi sabr-o-qarar TuTega
agar ye dil hai to phir bar bar TuTega
wo apne zarf se baDh kar bhara hua baadal
ye dekhna kahin be-iKHtiyar TuTega
wo ek pal bhi kisi roz aa hi jaega
ki jab ye zindagi par e'tibar TuTega
wagarna chalta rahega ye silsila yun hi
main TuT jaun tabhi intishaar TuTega
phir ek bar ghalat nikla ye qayas mera
gira chaTan pe to aabshaar TuTega
tere zawal ki manzil abhi nahin aai
nasha to TuT chuka ab KHumar TuTega
isi KHayal se shayad Dara hua hai saz
agar ye rag na TuTa to tar TuTega
koi udas sa naghma hi gungunaen hum
tabhi tilsim-e-shab-e-intizar TuTega
(979) Peoples Rate This