Har Ek Raat Mein Apna Hisab Kar Ke Mujhe

har ek raat mein apna hisab kar ke mujhe

sahar ko chhoD diya aaftab kar ke mujhe

mere junun ko pahuncha diya hai manzil tak

safar ke shauq ne KHana-KHarab kar ke mujhe

zara si der mein wo bulbule bhi phuT gae

jinhen wajud mila gharq-e-ab kar ke mujhe

usi ko din ke ujale mein aaunga main nazar

tamam raat jo dekhega KHwab kar ke mujhe

jagah jagah pe muDe hain kai waraq mere

kisi ne roz paDha tha kitab kar ke mujhe

bana raha hai agar tu mujhe to dhyan rahe

tujhe banana paDega KHarab kar ke mujhe

main ek nasha hun use paD gai hai lat meri

hayat pine lagi hai sharab kar ke mujhe

meri shanaKHt hai ahl-e-suKHan mein bas itni

kiya gaya hai alag intiKHab kar ke mujhe

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Raat Mein Apna Hisab Kar Ke Mujhe In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Har Ek Raat Mein Apna Hisab Kar Ke Mujhe is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Har Ek Raat Mein Apna Hisab Kar Ke Mujhe for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Har Ek Raat Mein Apna Hisab Kar Ke Mujhe in PDF.