Ek Gardish-e-mudam Bhi Taqdir Mein Rahi
ek gardish-e-mudam bhi taqdir mein rahi
gard-e-safar bhi panw ki zanjir mein rahi
KHwabon ke intiKHab mein kya chuk ho gai
har bar ek shikastagi tabir mein rahi
rangon ka tal-mel bahut KHub tha magar
phir bhi koi kami teri taswir mein rahi
chaaragaron se dard ka darman na ho saka
allah jaane kya kami tadbir mein rahi
kuchh der tak to zaKHm se uljhi rahi dawa
kuchh der tak to dard ki tasir mein rahi
qatil ne sare dagh to pani se dho diye
taza lahu ki bu jo thi shamshir mein rahi
shoala-bayani go mera tarz-e-suKHan nahin
ek aanch si magar meri tahrir mein rahi
(1316) Peoples Rate This