Did Ki Tamanna Mein Aankh Bhar Ke Roe The
did ki tamanna mein aankh bhar ke roe the
hum bhi ek chehre ko yaad kar ke roe the
samne to logon ke gham chhupa liye apne
aur jab hue tanha hum bikhar ke roe the
hum se in andheron ko kis liye shikayat hai
hum to KHud charaghon ki lau katar ke roe the
jab talak the kashti par KHud ko rok rakkha tha
sahilon pe aate hi hum utar ke roe the
aaine mein rota wo aks bhi hamara tha
jis ko dekh kar akasr hum biphar ke roe the
yaad hai abhi tak wo ek sham bachpan ki
jaane kya hua tha sab log ghar ke roe the
sahilon pe aati hai aaj bhi sada un ki
Dubne se kuchh pahle jo ubhar ke roe the
har taraf thi KHamoshi aur aisi KHamoshi
raat apne sae se hum bhi Dar ke roe the
tab pata chala hum ko zaKHm kitne gahre hain
dard ke nashebon mein jab utar ke roe the
hum ne apni aankhon se hadsa wo dekha tha
pattharon ki basti mein zaKHm sar ke roe the
(1286) Peoples Rate This