Dasht Mein UDte Bagulon Ki Ye Masti Ek Din
dasht mein uDte bagulon ki ye masti ek din
ek din hai sar-bulandi aur pasti ek din
ek din tu bhi isi bazar mein bik jaega
aur koi shai na hogi tujh se sasti ek din
naqsh jitne hain baha le jaenge ashk-e-rawan
aur rah jaengi ye aankhen tarasti ek din
rafta rafta ye dhundalke aur baDhte jaenge
yak-ba-yak viran ho jaegi basti ek din
ek din jal jaunga main bhi chita ki aag mein
KHak mein mil jaegi teri bhi hasti ek din
do dinon ki zindagani kufr kya islam kya
ek din kabe mein sajda but-parasti ek din
gar yun hi ghaalib raha hum par suKHan ka qarz ye
rang laegi hamari faqa-masti ek din
(1393) Peoples Rate This