Danista Jo Ho Na Sake Nadani Se Ho Jata Hai

danista jo ho na sake nadani se ho jata hai

aag ka dariya par baDi aasani se ho jata hai

had-e-nazar tak ek tanhai KHak uDati phirti hai

sahra be-bas apni hi virani se ho jata hai

jitni umr sarabon ka pichha karne mein guzarti hai

itna gahra pyas ka rishta pani se ho jata hai

ghar se nikalna bhi mushkil hai ghar mein rahna bhi mushkil hai

kaisa mausam barish ki man-mani se ho jata hai

rone se dil halka to ho jata hai lekin socho

wo nuqsan jo ashkon ki arzani se ho jata hai

jhil ki gahri KHamoshi bhi hoti hai mashkuk magar

dariya ruswa maujon ki tughyani se ho jata hai

(897) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Danista Jo Ho Na Sake Nadani Se Ho Jata Hai In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Danista Jo Ho Na Sake Nadani Se Ho Jata Hai is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Danista Jo Ho Na Sake Nadani Se Ho Jata Hai for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Danista Jo Ho Na Sake Nadani Se Ho Jata Hai in PDF.