Chahaton Ke KHwab Ki Tabir Thi Bilkul Alag
chahaton ke KHwab ki tabir thi bilkul alag
aur jina paD rahi hai zindagi bilkul alag
wo alag ehsas tha jab kashtiyan maujon mein thin
lag rahi hai ab kinare se nadi bilkul alag
aur kuchh mahrumiyan bhi zindagi ke sath hain
har kami se hai magar teri kami bilkul alag
ek an-jaani sada ne kya pata kya kah diya
ruTh kar baiThi hai sab se KHamushi bilkul alag
lafz ki duniya alag shahr-e-maani aur hai
main alag hun mujh se meri shaeri bilkul alag
aaine mein muskuraata mera hi chehra magar
aaine se jhankti be-chehragi bilkul alag
sochta hun rang kitne hain mere kirdar mein
main kabhi apni tarah hun aur kabhi bilkul alag
sab andheron se juda dil ka andhera jis tarah
har ujale se hai ghar ki raushni bilkul alag
zindagi ki lai bikharne ka sabab shayad yahi
saz ki dhun se hai meri naghmagi bilkul alag
mujh ko in sairabiyon ne ek sahra kar diya
aaj bhi lekin hai meri tishnagi bilkul alag
(1139) Peoples Rate This