Aaine Se Parda Kar Ke Dekha Jae
aaine se parda kar ke dekha jae
KHud ko itna tanha kar ke dekha jae
hum bhi to dekhen hum kitne sachche hain
KHud se bhi ek wada kar ke dekha jae
diwaron ko chhoTa karna mushkil hai
apne qad ko uncha kar ke dekha jae
raaton mein ek suraj bhi dikh jaega
har manzar ko ulTa kar ke dekha jae
dariya ne bhi tarsaya hai pyason ko
dariya ko bhi pyasa kar ke dekha jae
ab aankhon se aur na dekha jaega
ab aankhon ko andha kar ke dekha jae
ye sapne to bilkul sachche lagte hain
in sapnon ko sachcha kar ke dekha jae
ghar se nikal kar jata hun main roz kahan
ek din apna pichha kar ke dekha jae
(975) Peoples Rate This